Dhaagey padey padey kyun ulajh jaatein hain
Kyun unhe suljhate suljhate shaam ho jaati hai
khidki se doobte sooraj ko dekhte hue kyun chai thandi ho jaati hai
Kyun Phir bhi woh pyali hatheliyon mein kuchh garmahat si chod jaati hai
Kyun woh garmaahat ek kampaati sardi ki yaad garam kar deti hai
Yaadein kabhi kyun akeli nahin aati
Mann ko kuchh udher kar kyun woh uske reshe mein bas jaati hain
Kyun ve mann ke udhde dhaage wahin reh jaate hain
Phir ulajhne ko
No comments:
Post a Comment